Kadi mehnat ka koi vikalp nahi
Sabr se bada koi hunar nahi
Koshish karte rahna chahiye
Swayam ke man se bada koi dar nahi
Jab tak mere khayalon mein,
kadi mehnat se
Jindagiyan badalne ka ahsas hai
main aakhri saans tak koshish karunga.
tumhare liye tumhare sath
Main aag hoon
Main raag hoon
Main tumse prem karne wala
Tumhara hi anuraag hoon
Main dhoop hoon
Main chaon hoon
Tumko paar lagane wali
Nischal tairti naav hoon
Main kal bhi tha
Main kal bhi hoon
Main aane wala pal bhi hoon
Main har phool ka kata hoon
Main maun hoon Sanaata hoon
Mujhe tod lena tum pathik
Main phir aane wale jwar bhata hoon
We dream
We do
We deliver
We care
We share
We top the list
We act as catalyst
We deliver motivation
We are spiritual
We run
We are vindhyachal
We unite
We fight
We cry
We try
We start
We finish
We are on a mission
We have a clear vision
We hear
We fear
We attack
We Cheer
We are VISION CATALYST
We are the catalyst of hopes, vision, motivation,
support , invention and governed by art of spirit and God.
Ram ji ki mahima ka samandar
Hanuman ji ki bhakti
Vindhyachal ji ke man par
Pusphit pavan nischal
Tap gyan ki godavari
Putra hue paanch naam pita ka bagheshwari
Main Avanish, Main Girish or main hi Satish hoon
Main arvind par virajman
Main jeevan ka pramod hoon
Main hi tumhara aadi hoon main hi tumhara ant hoon
Mera naam vindhyachal hai
Or main anant hoon.
Main hoon mahaveer ka bhakt
Main hi tumhara sant hoon
Main bhi tumhare prem mein
Khoya or nichint hoon
Shri krishnayan ki khoj mein aaj bhi main chint hoon
Mujhe moksha dedo mere parijano
Main hi tumhara granth hoon
Main hi mira main hi nirupma
Main hi manorma ka mantra hoon
Main aarambh hoon main ant hoon
Main tumhare prem mein aaj bhi anant hoon